Monday 26 February 2018

MAA aur PAPA

Dilon Ki Kahaani Labzon Ki Zubaani 

16




MAA


Is duniya main RAB G ki sbse badhi blessings kisi bhi bachche ke liye uski maa hai. Kamaal hai na joh maa 9 maheene tk apne bachche ko apne pet main sambhaal kr rakhti hai , vohi maa apne bahche ke paida hone se lekar jab tk zinda hai tb tk uska khyaal rakhti hai. Jab bachcha chota hota hai toh use smjh nahi hoti voh poora apni maa pr dependent rehta hai. Chalna , bolna , padhna , likhna , koodna sab voh usi se seekhta hai. Yeh kehna galat nahi hoga ki ek bachcha sabse zyada samay apni maa ke saath bitata hai isiliye uska svabhaav poora nahi pr lgbhag unhi ke jaisa bn jaata hai. Bachcha bhale kisi bhi umar main ho lekin apni maa ke liye voh uska bachcha hi rehta hai. Pr kitna ajeeb hai na ki badhe hote hote maa ki ehmiyat kam hoti jaati hai. Mtlb ki life main dost aajate hai fir life partner se rishta bandh jaata hai aur fir bachche hote hai, jiski vajah se shyd kahi na kahi hamesha ek kami si mehsoos hoti hai ki maa ko voh pyaar de na paaya joh har maa ne apni poori life apne bahche se chaha. Aur us bahche ko yeh kab realise hota hai jab uska apna bahcha hojata hai. Ek maa apni poori life apne bahchon ko pyaar hi deti hai aur badle main kuch nahi maangti bs akal ho toh smjh aajaega ki use bhi vahi pyaar hi chahiye hota hai. Pr ham jyada hi smjhdaar hojaate hai badhe hokr , ki doston ke saath late bahar rehte hai pr maa ne phone krke pooch liya late kyu toh uspe cheek dete hai. Ya girlfriend or wife ke saath shopping pr ya movie ke liye chale gaye , ghr pr batana bhool gaye aur dinner saath main krne ke liye maa wait krti rahi. Boht asaan hai yeh baatein kehna pr fir bhi maa ki asli ehmiyat aaj tk koi na smjh paaya hai na hi use smjhaaya jaa skta hai kyunki voh pyaar hai hi itna paak ki yuhi thoda maa ko RAB se relate kiya gaya. Ek maa kbhi apne bahche pr haar nahi skti, ar badhe hojaane ke baad bhi jab bimaar padh jao to us maa ko hi yaad kiya jaata hai kyunki use hi maloom kya hai sahi ilaaj. Salaam hai us har maa ko jisne itna pyaar is duniya main uske har bahche ko diya aur shukriya hai us RAB ka jinhone use banaya aur dua hai UNSE ki voh har maa ko sada sahisalamat rakhe, aur har bachche ko uski maa ke saath rehne ki blessings de ,uska pyaar paane ka sukh pradaan kre aur us maa ki ehmiyat smjhne ki sadbuddhi bakshe voh bhi sahi samay pr.

PAPA

Shyd is duniya main sbse underestimated ya less valued insaan koi hoga toh voh hai PAPA. Kyunki papa hamesha apne parivaar ki dekh baal ke liye , sukh ke liye mehnat main lage rehte hai. Aur bachchon ki har khwaaish ko poori krne ke liye jee jaan laga dete hai. Shyd yeh ek badha reason hai ki generally bachchon ka attachment unke father se kam hota hai in comparison to mother. Lekin yeh fact ek dam sach hai ki voh maa bhi apne pati ki vajah se hi khud ko aur apne bachchon ko secure feel krti hai. Papa poore ghr ki responsibility aur saari major tensions akele jhel lete hai bina kuch kisi ko bataye aur itne strong hote hai ki chehre pr dikhate bhi nahi. Aur hasi ki baat yeh hai ki bahcha badhe hote hote jahan maa ki ehmiyat kam aakne lgta hai, vahi papa ko toh kuch smjhta hi nahi. Aaj ke daur main yeh boht badha sach hai ki us maa ke liye hamesha uska pati hi stand krta hai aur saath deta hai , sale nikamme bachche bhi unhe chod dete hai. Maa jahan bahchon ke liye emotional strength and caring support hoti hai vahi father bachchon ke liye securing guardian , wish fulfiller aur mental strength bante hai. He teaches and makes us strong for how to deal with the outside world. Aur har bahche ko maloom hai ki uske papa hai uske saath tabhi jab kisi ke saath baat bigde na toh bachche aps main dhamki dete hai ki main apne papa ko bataunga. Hehe. Jis tarah maa RAB ka roop hai usi tarah papa bhi UNHI ka roop hai kyunki maa aur papa ek hai alag nahi aur meri dua hai ki har bachche ko uske papa ka saath and guidance and that secure caring strenghtful support mile and UNKE karam se sbhi papa har pal sahi salamat rahe aur strong rahe.

Bs yaar apne maa papa ki ehmiyat sahi samay pr smjh lo aur bhale kuch bhi unhe kabhi akela nahi chodna kyunki aaj bhi agr tumhein koi tension hoti hai toh sbse pehle vohi aaenge tumhara saath dene. Khush raho aur RAB G har maa papa pr apna karam banaye rakhna and unhe vohi deserving pyaar dilwaana joh unhone apne bachchon ko bina kisi condition ke diya.




No comments:

Post a Comment

RAB G par ASHRIT

Dilon Ki Kahaani Labzon Ki Zubaani   7 Ek parivaar mai 4 married bhai hote hai. Family ki condition achchi hoti hai mtlb kisi ch...