Monday, 26 March 2018

Apka Vishwas dagmaga sakta hai , UNKA karam nahi

Dilon Ki Kahaani Labzon Ki Zubaani 

17



Ek baar do behen hoti hai jinki shaadi ko kayi saal beet jaate hai pr dono ke yahan koi bachcha nahi hota. Baba fakeer ke paas dono salaam krne jaate is mansha se ki RAB G se dua kr UNKI blessings maangenge. Baba fakeer ke paas RAB G dwara di gayi blessings hoti hai ki voh aage zaroorat mand bachchon ki maddad kr ske. Dono beheno ki arz pr Baba fakeer dono ko hi ek-ek khajoor dete hue farmate hai ki aap inhe kha lena , aane vale saal mai dono ke yahan bachcha hoga. Choti behen unka kehna maan khajoor kha leti hai , pr badhi behen sochti hai ki vaise kilo kilo khajoor kha leti koi bachcha nhi hota , is ek khajor se kya hoga aur yeh kehkr voh raste main ek padhe ek pathar k paas rkh jaati hai.


Saal beet jata hai aur vahi hai ki choti behen ke yahan bachcha hojata hai pr badhi behen ke yahan nhi. Boht pareshan aur dukhi ho, Baba fakeer ke paas jaate hai. Baba fakeer poochte hai badhi behen se ki aapki jholi kyu khali , aapne khajoor nahi khaayi. Maafi mangte hue kehti hai ki maine gustaakhi kr aapki baat nhi maani. Baba fakeer poochte ki kya aapo yaad hai aapne voh khajoor kaha rakhi thi toh vahi jaao aapko aapki chahat vahi mil jaaegi. Aur voh usi pathar ke paas jaakr dekhti hai toh ek nanha sa bachcha muh main ungli liya hua padha hota hai . Fat se gale laga kr bhaagti hui Baba fakeer ke paas aakr UNKA shukriya krti hai.



Ab is kahani ko padhte hue aap zaroor sochre hoge ki yeh sab fiction hai sirf kitaabi hai pr is khaani se joh sbse zaroori cheez smjhni vaali hai voh yeh hai ki RAB G pr vishwas aapka kis ad tak hai isi pr kaayam rehta hai ki aapke saath kya hoga, kyunki VOH toh har pal aapka khyaal rakh re hai aur aapke saah hai ab yeh toh aap pr hai ki aap UNPR kab apna vishwas laa skte ho. Vishwas se mtlb hai ki khud ko UNPR poora kurbaan krdena, fir bhale koi bhi situation kyu na ho bs surrender krdo. Let him decide cause he has the best solution.


In sab kahaniyon se maksat sirf ek hai ki jeevan main pareshaaniya khatam nahi hogi aur agr aapne un pareshaaniyon main khud ko dubo diya toh zindagi kya jeeyoge. Asli sukh aur sukoon sirf RAB G ke charno mai hai . UNSE hi khud ko poora jodhe rakho kyunki sirf VOHI hai joh dono jahan main aapke saath hai aur voh bhi har pal. 

Bhoolna nahi ki.......


RAB HI SAB HAI 






RAB G par ASHRIT

Dilon Ki Kahaani Labzon Ki Zubaani   7 Ek parivaar mai 4 married bhai hote hai. Family ki condition achchi hoti hai mtlb kisi ch...