Dilon Ki Kahaani Labzon Ki Zubaani
4
Dosti ka hai aaj khas din
Rahe har dost sada salamat
Na jeena ek bhi pal dost ke bin
Bani rahi dosti takayamat
Khushi ka hota hai ehsaas
Jab mil jate hai jigadi yaar
Kuch baat hoti hai unme khaas
Isiliye ek ek pal ho jata hai yaadgaar
Meethi yaadein man moh leti hai
Jaise swaadisht kheer
Sachchi dosti unhi ko milti hai
Jinki rab ne likhi ho sundar takdeer
Maana sundar hai chaand andhere main roshni felaata hai
Lekin shkti use suraj se hi hai milti
Agr chand saman meri pehchaan hai
Toh suraj jaise dost se hi hai mujhme jaan dalti
Is rishte ki hai anmol kimat
Heere moti bhi feeke pad jaye
Na aaye kisi yaar ko koi dikkat
Khushi khushi sabka jeevan beete jaye
Zindagi hai jyot ke samaan
Aur ghee hai dosti
Jyot ko jgaye rakhna hai ghee ka kaam
Aur dosti bhr deti hai jeevan main mauj masti
Mitrata ke is gehre saagar main
Naiya dost hi paar karata hai
Joh na chode saath sukh dukh main
Sachcha dildar vohi kehlata hai
Sachchai aur vishwas ki buniyat par tike yeh rishte
Us khoobsurat RAB ki khoobsurat den hai
Dua krne se bhi shyd na mile dost jaise farishte
Jinke pyaar bhare saath hamein milte hai
Guroor hai mujhe apni dosti pr
Hak se krta hun sabse pyaar
Nazar se bachaye kripa kre RAB sab pr
Dua maangta hun main dil se har baar
Hai jeevan mera khule baagh ki tarah
Phool jaise dost jisme khile hai
Felate hue khushboo gulaab ki tarah
Mastana deewana mujhe apna kr dete hai
Bhar do saare sansar main pyaar bemisaal
Sabko chde dosti ka nasha jaise peekr bhaang
Aao le pratigya banaye dosti ki nayi misaal
Na chodna kabhi is naacheez ka saath dil se krta hun yahi maang
No comments:
Post a Comment