Sunday 6 May 2018

LOVE ; ARRANGE or ARRANGED LOVE

Dilon Ki Kahaani Labzon Ki Zubaani 

18



Aaj ka topic thoda alag hoga, kyunki kayi dino se ek baat man main thi socha use likh dun aur mujhe khushi hogi agar aap bhi apna view is baare main batayein. And most importantly, this post is not meant to disturb or hurt anyone, so kindly spare me if you felt anything offended. 


Love marriage is better or arrange? Ye question aisa hai ki ismain barabar ke samarthak honge kyunki is question ke answer main har ek ka nazariya uski situation ke hisaab se banta hai. Pr main thoda alag sochta hun. Aisa nahi ki main love marriage ke khilaaf hun ya arrange marriage ke support mein, lekin mujhe ek cheez boht khatakti hai. Let me show you my point with an example.

Do dost school main aise stage pr aajate hai jahan un dono ko ek doosre ke liye liking aati hai.Fir yeh rishta college tk chlta hai aur dono ke relation main with time love growth hoti hai , and they have already decided in their mind ki bs isi ke saath apni life aage leke jaani hai. Lekin un dono ke man main vahi common dar hota hai ki kya unke parents maanenge ya isse badha sawaal ki kya unme itni himmat hai ki voh apne parents ko bata bhi paaye. Ab yahan situation ban jaati hai. Jaise ki with advanced time kuch parents are comfortable and provide support to their children for having good and healthy future with their decided partners. Bachche khush. Bachchon ke dost khush. Happy parents. Happy life. Ab yahi doosri situation ki parents are not comfortable and scared for their children's future. And now they decide ki unke bachchon ki arrange marriage kara di jaye.  Yahan yahan hai mujhe dikkat.

Main kisi ko disrespect nahi krna chahta pr un parents ko poochna chata hun ki aap apne bache ki zindagi ek anjaan ke haath main dene ko tayar ho jisko aapne sirf apne family links ki vajah se, 1-2
meeting main hi select krliya raazi hogye, lekin aapke bachche ne jiske saath apne kitne saal khushi se bitaaye jisko lekar aapka bachcha secure feel krta hai aur khush hai, us choice pr aapko doubt hai yaa apko manzoor nahi? Mai maan skta hun ki aap family links pr trust factor dikha aur apni society mein hi rishta krne ki chah mein arrange marriage pr zyada vishwas krte ho. Pr jaise aapko love marriage pr vishwas nahi , kya aise aapke paas guarantee hai ki voh aapka arrange marriage ka faisla bhi kaamyaab hoga?

Main yeh nahi kehta ki isse har ek ko  choot mil jaaye ki nadaani mein bina soojh smjh ke immature age main bahche pyaar kr baithe. Nahi itni restrictions aur akal honi chahiye ki har cheez ki sahi umar aur sahi wakt hota hai. Pr main iske saath bhi nahi ki parents ki different thinking ki vajah se bachche joh ek doosre ke saath khush hai , voh apne parents ke saath apni khushi hi na share kr paaye. RAB karam kare aisa na ho lekin aisi situations main ya toh bachche bhaag kr shaadi krne ka galat kadam uthate hai bs us dar ki vajah se ki parents maanenge nahi ya parents arrange marriage kara ke 4 zindagi ko kharab krte hai jisme un dono bachchon ke new partners ke saath unhe voh pyaar ka ehsaas nahi rehta joh ek doosre ke saath tha.

Meri bs ek hi chahat hai ki chahe arrange marriage ho ya love marriage mujhe kisi se dikkat nahi bs ek request sbse ki arrange marriage mein, parents dono bachchon ko aaps main thoda tym spend krne ko de taaki voh ek doosre ko smjh ske. Ek doosre ke saath bitaaye 2-3 months main hi smjh aajaega ki dono khush hai ya nahi and this will result in a good future. Aur rahi baat love marriage ki toh parents bachchon ko aisi seekh de ki bachche galat age main galat kadam na uthaye aur bachche itne comfortable ho ki voh apne parents ke saath yeh important life decision share kr paaye. Aur unke support ke saath apne future ko happily secure kr ske, where parents again play a major role.

Bs parents ho ya bachche sab smjhdaari se faisla le aur us rishte ko samay dekr smjhe kyunki shaadi main keval do log nahi do parivaar ek doosre se judhte hai.

Sab khush rahe aur RAB G ka karam sab pr bana rahe yahi dua hai. Maafi kuch galat kaha ho toh.

RAB HI SAB HAI


RAB G par ASHRIT

Dilon Ki Kahaani Labzon Ki Zubaani   7 Ek parivaar mai 4 married bhai hote hai. Family ki condition achchi hoti hai mtlb kisi ch...