Saturday 25 November 2017

RAB G par ASHRIT

Dilon Ki Kahaani Labzon Ki Zubaani 

7


Ek parivaar mai 4 married bhai hote hai. Family ki condition achchi hoti hai mtlb kisi cheez ki kami nahi hoti. 4 main se 3 bhai khoob mehnat kr kaarobar sambhalte hai. Lekin 1 bhai har samay sirf RAB G ke dhyaan main hi laga rehta hai. Voh RAB se pyaar krne ki vajah se karoobar main samay nahi bitata blki pooja paath main hi leen rehta hai. Boht VISHWAS rehta use hamesha RAB G pr. Lekin kaafi samay tk uska yeh bhartaav dekh kr , baaki 3 bhai uske khilaaf hojate hai. Unki wives ki soch ke saath voh bhi yahi sochte ki yeh sirf BHAGWAAN ke dhyaan main laga rehta hai, koi kaam nahi krta toh ham kyu iska kharcha uthaye. Ise khud mehnat krne ki zaroorat smjhni chahiye. Voh teeno uske paarivaarik hisse ka share dekr use alag kr dete hai. Voh fir apni wife ke saath jungle  ki kutiya main jaakr rehne lgta hai. Thoda samay beetne ke baad khaana aur rehne ka zaroori samaan dheere dheere khatam hote jaata hai. Uski wife bhi pareshaan hokr kehti hai ki aap kuch kaam kyu nahi krte , kya aise pooja paath krne se sab haasil ho jaata hai? Behad mayoosi ke saath voh jungle ki or chl deta hai. Ek jagah pr baith kr udaas man se RAB G se shikayat krta hai ki aisa kyu ho raha hai Yeh sila diya aapne mere vishwas aur pyaar ka. 

BHAGWAT GEETA main RAB G ne faramaya hua hai ki  JOH MUJHPR AASHRIT HAI (yaani dependent) USE KABHI KISI CHEEZ KI CHINTA KRNE KI ZAROORAT NAHI.

Voh bhai GEETA ko har wakt apne saath rakhta tha. Mayoosi aur udaasi se bhara pareshan bhai , RAB G se shikayat krta hai ki AAPNE JOH LIKHA VO JHOOTH HAI. Gusse main aakr voh ek kaale pathar se GEETA main likhi us line ko kala kr galt kadam uthata hai. Behad pareshaan hokar ghr vaapis aata hai aur dekhta hai ki dhero saara khana aur rehne jeene ka zaroori samaan uski aankho ke samne hota hai. Apni wife se poochta hai ki yeh sab kaha se aaya. Toh wife batati hai ki aapka koi dost aaya tha jisne kaha ki APNE PATI KO BATA DENA KI JISKE MUH PR USNE KAALIKH LAGAYI THI VOHI AAYA THA.

Yeh sab jaankr uski aankhon main aansu aajate hai aur voh RAB G ka shukriya kr unse maafi maangta hai ki usne apne vishwas pr doubt kiya aur gusse main galat kadam uthaya. Sath hi yeh bhi smjh jaata hai  ki mehnat krna bhi zaroori hai.


Now as a moral here are two facts we need to understand. One is total clear that we should never doubt on GOD and never ever complain for what bad is happening in our lives, as he knows everything and also knows  that whats best for us. We just need to trust HIM , keep our faith always alive along with patience and thanks HIM for everything.
And the other important point to understand with this story is that we should not run away from our responsibilities or should not leave the hardwork to not only earn living but also respect.
Combining both these, we can say that TRUST IN GOD KEEP YOUR HARDWORK GOING WITH GOOD DOINGS AND JUST HAVE THE PATIENCE TO FIGHT WITH BAD TIMES.

AND DO REMEMBER GOD HELP THOSE WHO HELP THEMSELVES.

Bs RAB HI SAB HAI..........

Saturday 18 November 2017

UNDERSTANDING

Dilon Ki Kahaani Labzon Ki Zubaani 

6

Kya main joh kehna chahta tha voh samjh paayi? Usne meri baat toh sun li par voh mujhe smjh ni paaya. Main kya samjhaana chahti thi aur usne kya samjh liya. Meri baat toh kisi ko smjh hi ni aati. Kaash unhone mujhe smjha hota.

Yeh sab voh sawaal hai joh har insaan ko pareshaan krte hai. Yeh voh baatein hai joh sbke man main reh jaati jinka koi jawab nahi hota aur jinki vajah se har koi kabhi na kabhi khud ko down feel karata hai. Kyu hota hai aisa kyu man voh ashanka ya doubts ke baadal reh jaate hai kyun tasalli nahi milti. Aaj main is neev yaani UNDERSTANDING pr baat karunga jiski vajah se yeh saare sawaalon ki imaarte banti hai.

Boss ko kaam se related usi ke sawal ka jawab dene niklo aur reply main kya milta hai, bhashan ki yeh sahi tareeka nahi joh maine poocha uska jawab do. Ab bhayii jawab ki bhasha badal di hai kya, joh yeh tareeka sahi nahi. Seedha bolo na smjh ni aaya.
Girl friend ko batana bhool gya yaa samay na mil paane ki vajah se nahi bata paaya ki boht zaroori kaam se urgent kahi jaana hai jis karan aaj ka plan possible nahi ho paaega, toh girl friend ke hazaar sawal kyu kisliye kiske saath tumhare liye main zaroori nahi. Areh tu zaroori na hoti toh tujhse kiya pyaar kya acting hai meri? 
Din bhar ki thakan main office se ghr aaye bete se maa poochti kya khaaega beta, kya hua chehra itna utra kyu hua hai. Aur beta apni saari frustration thakaan maa ke upr chilla kr bina chahat ke nikaal deta hai. Maa kya sochti ki maine toh apne bete ka haal janne ke liye poocha bs, meri kya galti?

Na jaane aisi kitni baatein hongi joh sirf aur sirf misunderstanding ki vajah se jagti hai, aur jinka output sirf aur sirf worst ya unwanted hi aata hai. Ab kre toh kre kya.

Main manta hun ki sbse pehla step joh ham sabko chadna hai apne aap main voh hai PATIENCE ka yaani sabar. Ham sabmein sabar hona boht zaroori hai. Ham situation ki happening main itne excited yaa itne udaas hojaate hai ki khud ko sambhaal nahi paate , instead we should have that patience factor in us so as to have stable mindset and relaxed heart.

Next step main  hamein sabar ko saath rakhte hue situation main mature act krne ki zaoorat hai. Saamne vali ki baat ko sunkar uska kehne ka mtlb smjhkar ki aakhir voh yeh sab keh kyu raha hai aur fir thande dimaag se uska reply usi ke baat ke according dena chahiye taaki uski baat aapko aur apki baat use bilkul vaise hi samajh aaye jaise aap dono smjhana chahte ho. Isse kabhi misunderstanding nahi hogi.

Ab main apni soch main sbse important baat joh mujhe lagti hai voh kahunga. 
Ham jab kabhi bhi kisi bhi situation main ya communication ka part hote hai toh hamein hamesha saamne vale ki position main rehkr uski kahi hui baat ko smjhna chahiye kyunki isse hamein smjh aajaaega ki uski intention kya hai aur ek baar ham saamne vale ki intention smjh le toh fir koi baat hi ni reh jaati. This is easy to say but practically its very difficult to implement. And if you think once regarding this matter you will find that you might also be lacking somewhere in implementing it, even when you know that you need to. Because its in human nature of not being cool and not  behaving mature with getting bad results in form of conflicts , making angry and so on , which you didn't wanted to actually happen.

Agar Boss apne employee ki baat dhyaan se smjh leta ya Girl friend apne partner pr trust kr uski majboori smjh leti yaa Beta maa ki care bhari intentions pehchaan leta toh kya inme se koi bhi situation bigadti?

That's all we need to understand. We have to keep ourselves cool , possess patience and act mature. You will surely find your heart being relaxed with providing results of positive mindset.

Guys share your respective views in comments section and let me know whether these posts are being liked or not..

Thanks. I hope you UNDERSTAND what i am trying to convey.

Saturday 11 November 2017

THANKS GOD OF WHO YOU ARE

Dilon Ki Kahaani Labzon Ki Zubaani 

5



Ek machli aur ek chidiya dost hote hai. Dono aksar milte aur baatein kiya krte the. Pr un dono ke man main ek hi khyaal tha , jis baare main unhone kabhi ek doosre se kaha nahi. Dono hi apni jagah apni zindagi se pareshaan the. Machli ko badhi machliyan boht tang krti aur saath hi log aksar us paani ko ganda kr, us machli ka jeena mushkil kr dete. Vahi doosri taraf chidiya ko polluted hava main udhna aur pedh (tree) ki sankhya kam hote , rehne ki jagah na mil paane ki vajah se kaafi pareshaaniyan jhelni padhti. Apni sabhi pareshaniyon ko toh dono hi ek doosre se share krte lekin unhone kabhi apne dil ki chahat nahi share ki. Machli sochti ki chidiya itne khule aasman main jahan chahe vaise udh kr aish krti hai , kitna achcha hai iska jeevan , kaash mujhe bhi aise zindagi milti. Chidiya sochti ki machli ko paani ki duniya main underwater kitna achca lgta hoga , us saaf paani main alag duniya main jeena kitna asaan hota hoga, kaash main bhi iske jaisa jeevan jee paati.

RAB G to sab jaante hai , kiske dil main kya baat hai. Toh aise hi machli aur chidiya ki man ki baat sun VOH un dono ki zindagi ek doosre se badal dete hai. Dono khush . Pr jaise hi machli hava main aur chidiya paani main pahunchte hai , vaise hi dono hadhbadhane lagte hai. Machli ud toh paati hai , chidiya ter toh paati hai lekin dono bhool jaate hai ki machli ko saans paani main aur chidiya ko hava mai hi milti hai. Aur isi vajah se tadapte hue dono RAB G se arz krte hai ki hamein hamari zindagi ki ehmiyat smjh aagyi , hamein maaf kr AAP hamein vaps hamare asli jeevan somp dijiye. RAB G muskura kr unki dua kabool krte hai , aur uske baad dono hi apni apni jagah khushi se bina koi shikayat ke apna apna jeevan vyateet krte hai.

Kya seekha jaa skta hai is baat se. Baat shyd sunne main khaas na lage ya logics na nazar aaye pr is baat ke peeche joh important message chipa hai use smjhne ki zaroorat hai.


RAB G ne jise jahan rakha hai aur jise jitna diya hai us ke liye vahi best hai. Har ek ko yeh smjhna chahiye ki hamein UNSE baar baar apne dil main jagi temporary and badalti chahat ko maang kr , UNHE restrict nahi krna chahiye kyunki kya pata UNHONE usse bhi behtar hamare liye kuch socha ho. UNHE maloom hai kise kab aur kya dena hai isiliye bs hamein UNKA har pal har cheez ke liye shukiya krna chahiye.

Its very important to know and understand the value of what we have and what we are , instead of always praising with what others have. Do not compare your's life with others. Your life is precious gift of GOD and its worth of giving huge importance. Never underestimate yourself and neither let yourself down of where you stand. Its just about waiting for the right time decided by GOD for you and till then having patience in yourself. Keep your faith always alive. HE always shower HIS blessings on you. Be healthy and keep smiling because...........

RAB HI SAB HAI





Saturday 4 November 2017

Pyaar Bhari DOSTI

Dilon Ki Kahaani Labzon Ki Zubaani 

4

Dosti ka hai aaj khas din
Rahe har dost sada salamat
Na jeena ek bhi pal dost ke bin
Bani rahi dosti takayamat

Khushi ka hota hai ehsaas 
Jab mil jate hai jigadi yaar
Kuch baat hoti hai unme khaas
Isiliye ek ek pal ho jata hai yaadgaar

Meethi yaadein man moh leti hai
 Jaise swaadisht kheer
Sachchi dosti unhi ko milti hai 
Jinki rab ne likhi ho sundar takdeer

Maana sundar hai chaand andhere main roshni felaata hai
Lekin shkti use suraj se hi hai milti
Agr chand saman meri pehchaan hai
Toh suraj jaise dost se hi hai mujhme jaan dalti

Is rishte ki hai anmol kimat 
Heere moti bhi feeke pad jaye
Na aaye kisi yaar ko koi dikkat
Khushi khushi sabka jeevan beete jaye

Zindagi hai jyot ke samaan
Aur ghee hai dosti
Jyot ko jgaye rakhna hai ghee ka kaam
Aur dosti bhr deti hai jeevan main mauj masti

Mitrata ke is gehre saagar main
Naiya dost hi paar karata hai
Joh na chode saath sukh dukh main
Sachcha dildar vohi kehlata hai

Sachchai aur vishwas ki buniyat par tike yeh rishte
Us khoobsurat RAB ki khoobsurat den hai
Dua krne se bhi shyd na mile dost jaise farishte
Jinke pyaar bhare saath hamein milte hai


Guroor hai mujhe apni dosti pr 
Hak se krta hun sabse pyaar
Nazar se bachaye kripa kre RAB sab pr
Dua maangta hun main dil se har baar

Hai jeevan mera khule baagh ki tarah
Phool jaise dost jisme khile hai
Felate hue khushboo gulaab ki tarah
Mastana deewana mujhe apna kr dete hai

Bhar do saare sansar main pyaar bemisaal
Sabko chde dosti ka nasha jaise peekr bhaang
Aao le pratigya banaye dosti ki nayi misaal
Na chodna kabhi is naacheez ka saath dil se krta hun yahi maang

RAB G par ASHRIT

Dilon Ki Kahaani Labzon Ki Zubaani   7 Ek parivaar mai 4 married bhai hote hai. Family ki condition achchi hoti hai mtlb kisi ch...