Monday, 4 December 2017

SABAR : Asli Imtehaan

Dilon Ki Kahaani Labzon Ki Zubaani 

8

Yeh story sunne aur smjhne main kaafi ajeeb lagegi agr practical nazariye se socho ya logic dhoondhne niklo, lekin zaroorat yeh hai ki aap is kahani ke peeche chipe unkahe raaz ya unkahi baat  ko smjhne ki koshish krna. Thodi lambi hai pr ant tk padhna zaroor.

Ek baar ek insaan apni life se khoob pareshaan hokr RAB G ke paas jaata hai . Arz krta hai ki na mere paas apna ghr na karoobaar main barkat na bimaariyon se rahat aur na hi koi sukh , aakhir aisi zindagi jeene ka matlb hi kya. Apne aap main jaise sabar kho, takleefon se jhoojhta hua duniya chodne ki arz krta hai ki ab aur nahi jeeya jaata. RAB G uski parishaani sun use teen parchiyan dete hai, 1-2-3 . Farmaate hai tu fikr mat kr sab theek hoga Vishwas rakh sahi samay zaroor aaega. Abse tu aage kabhi bhi pareshaan hua ya jab bhi aise haalat aaye ki bs ab nahi jeeya jaara toh pehli parchi kholiyo. Samay beet ta hai uska kaarobar chlne lgta hai toh thodi rahat paata hai pr uski beemaariyan use had se zyada takleef deti hai jis vajah se uski zindagi main fir voh samay aata hai jahan uske jeene ki ichcha khatam si ho jaati hai. Fir voh pehle number ki parchi kholta hai jisme likha hota hai HAVE PATIENCE.

Apne man ko kaise bhi krke smbhaalta hai aur aage badhta hai. Samay ke saath uski beemariyan bhi RAB G ke karam se theek hoti hai jiske liye voh UNKA har pal shukriya krta hai. Lekin fir voh samay aata hai jahan uske apne ghr ki ichcha poori hoti na dekh paane ki vajah se khud ko niraash krta hai aur doosri parchi kholta hai . Uspr bhi likha hota hai HAVE PATIENCE.

Fir se apne Vishwas ko jagata hai aur aage badhta hai. Thode samay main apna ghr bhi bana leta hai pr ghr ko ghr banane vali family ka saath na hone ki vajah se khud ko akela paata hai aur dubara naa jeene ki chahat ko man main lekr teesre parchi kholta hai. Uspr likh hota hai AB ITNA SABAR KRLIYA HAI TOH THODA AUR KRLE.TU APNI MANZIL KE BOHT KAREEB HAI.

Yeh padh voh muskura deta hai aur RAB G se maafi maangte hue shukriya krta hai ki UNHONE hamesha apne karam se use sahi salamat rakha aur jeene ki himmat bakshi. Iske baad fir kabhi bhi bhale hi koi bhi situation kyu na ho , usne thaan li ab niraash nahi hoga aur naa hi apne Vishwas ko kabhi tootne dega. 

Ab is kahani main kayi cheezen hai smjhne vali.
Pehli, ki agr aap RAB G main vishwas rakhte ho toh khud main sabar rakho aur us sahi samay ka intezaar kro joh UNHONE aapke liye socha hai and decide kiya hai, and trust me voh samay aane pr aapko  khud b khud pata chal jaaega ki aapka sabar krna vaajib tha.

Doosri. khushiyan kabhi bhi permanent nahi hoti. Isiliye kaha jaata hai ki sukh dukh zindagi ka hissa hai aur hamein dono situation main sthir yaani stable rehna chahiye. Permanent khushi asli sukoon dil ka chain sirf aur sirf RAB G ke charno main hi hai, aur kahi nahi. 


Teesri, ki insaan ki ek khwaaish khatam hone se pehle hi doosri jag jaati hai joh poori na hone pr khud ko mayoos krdeta hai pr yeh nahi sochta ki uski pichle khwaaishein aur zarooratein bhi toh poori hui hai. Sabar rakhna boht zaroori hai.

Aur Aakhri, ham aksar apne haalaton se pareshaan hokr khud main haarkar mayoosi main galat kadam utha lete hai khud ko nuksaan pahunchane ka blki yeh nahi jaante ki almost galat samay kaat diya hai bs ab sukh bhari manzil behad  kareeb hai . Isiliye kabhi give up nahi krna chahiye.

Yeh sach hai ki jispr joh beet ti hai vohi face krta hai reality pareshaani usi ko jhelni padhti hai lekin yeh bhi sach hai ki sabar yaani patience ko kayam rakhna US SUNHERI SHAKTI main yaani RAB G main vishwas ke saath sbse zaroori fanda hai life ka, kyunki krna sab UNHONE hi hai UNHE hi sab maloom hai isiliye hamehsa khud ko khush rakhne ki vajah dhoondho aur sahi samay ka intezaar kro kyunkiiii.........

RAB HI SAB HAI

No comments:

Post a Comment

RAB G par ASHRIT

Dilon Ki Kahaani Labzon Ki Zubaani   7 Ek parivaar mai 4 married bhai hote hai. Family ki condition achchi hoti hai mtlb kisi ch...