Thursday 26 October 2017

DOSTI

Dilon Ki Kahaani Labzon Ki Zubaani 

3


Is duniya main sabse khoobsurat rishta DOSTI hai. Aaj main dosti ke baare main kuch kehna chahunga. Ham agar soche ki ek relation main, be it any , sbse main ingredient kya honge :UNDERSTANDING ,TRUST, HONESTY, CARE and all those related factors. In sbhi ko agr ek term main define krna hai toh voh hoga DOSTI. Isiliye mera manna hai ki kisi bhi rishte main jaise maa-beta, wife-husband, brother- sister, gf-bf etc, sbse zaroori ingredient hai DOSTI. Aap kisi ke saath comfortable feel krte ho, secure feel krte ho tabhi aap unke saath apne man ki baat share kr paate ho. And DOSTI is that relation where u feel 100% comfortable. 

Boht kismat se milte ha aise rishte. Main kisi ke relation ko neecha nahi dikhana chahta par SACHCHE DOST UNKI blessings se hi milte hai. You might have heard that phrase which says , in age group of 18-21, u meet many temporary people. Kahi na kahi yeh sach hai. Ham school ya colg main kisi se milte thode din guzarte hai saath khaana uthna rehna hota hai toh ham us insaan ko BEST FRIEND ka tag de dete hai, aur fir next class main jab shuffling hoti hai tb pata hi ni chlta ki kaise voh BEST FRIEND kisi aur ka  BEST FRIEND ban chuka hota hai and aapke life main bhi ek aur DOST add hojata hai.Boht mushkil hai yeh janna aur smjhna ki actually main WHO IS YOUR BEST FRIEND, kiske sath aapka aisa bond hai jisme aapka dil kehta hai ki YAAR YEH MERA YAAR.

Ham sabhi rishto ko dekhe jaise gf-bf ka toh usme ham apne partner ko apni strength aur weakness dono maante hai, maa-beta ke relation main kayi aise baatein hoti hai joh man share nahi kr pata. Isi vajah se DOSTI naam rishte ki ehmiyat increase ho jaati hai kyunki DOST sirf STRENGTH hota hai , aisi strength jiske saath dil ko complete feel hota hai and almost having friends of same age, aapka man kuch baat share krne se rokta nahi.

Main sbhi ko yeh advice krta hun ki aap sbko apna DOST banao, shyd sbhi ke saath tuning na ho pr with time u will get to know ki kon aapka SACHCHA YAAR hai. Boht sunder rishta hai yeh, u never feel alone as u know ki meri fikar krne vala ya vali bhi hai koi. And trust me yeh UNKI hi blessings hai kyunki aise connections asaani se nahi milte and meri dua hai ki is duniya main sabhi sachche rishte pyaar aur khushiyon se bane rahe.Mano ya na mano when u fight with ur mapa/brosis or gf/bf or wife/husband toh sbse pehle aap apne DOST ko hi yaad krte ho. And he/ she is like all time available for u (like VELA/LI). 

Meri sabhi se yahi request hai ki never ever let go these lifelong beautiful precious relations away from you. Vaise bhi yeh kameene hone ki vajah se peecha chodte nahi and also yeh DIL ka behad khoobsurat hissa ban jate hai. Dekho mujhe toh boht pyaar hai apne doston se and maloom hai aap bhi boht chahte ho toh unhe special feel krao ek pyaara sa msg bol ya likh kr and also yaar bhoolna nahi yeh posts share zaoor krna , apni kahani dosti ki ya views comments section mai zaroor bhejna.

Baaki main toh thera RAB G ka bhakt isiliye UNME VISHWAS ki baatein and is KHOOBSURAT RISHTE ke baare main mere dil ke bol ke saath apne man ki vibhin bakhaan krta rahunga pr mere liye boht zaroori hai janna ki aapko yeh sab pasand aara ya nahi, aur isme meri madad krne ke liye aap jaante hai aapko kya krna hai.

KHYAAL RAKHO APNA APNO KA AND KAMEENO KA BHI

And yes sharing a poem on dosti for all those friends in my next blog, stay tuned........

Saturday 14 October 2017

RAB KA RASTA

Dilon Ki Kahaani Labzon Ki Zubaani 

2


Ek baar teen alag insaan aur teen alag raaste hote hai. Teeno RAB G se arz krte hai ki hamein raah dikhao. Pehle raaste main hariyaali ,sundar bagh aur khushnuma mahol hota hai. Doosre raaste main unche lambe chaude pahad, aur Teesre main ghor ghana andhera. RAB G teeno ko farmaate hai ki tumhe Teesre raaste se jaana hai. Ek insaan Pehle raaste ki hariyali aur sundarta dekh kr smjhta hai ki is raaste main toh dhero khushiyan hongi toh main isi main jaata hun. RAB G ka kehna na maankr aur Pehla raasta chunkr jaise hi thoda aage jaata hai toh baadh aakr use apne saath baha le jaati hai. Ek insaan Doosre raaste main unche pahad dekh kr manta hai ki yeh raasta chun kr main uchaaiyan haasil kr skta hun , aur yeh bhi RAB G ka kehna na maankr chl padhta hai. Jaise hi pahad chdne lgta hai toh pahad deh jaata hai. Teesra insaan, bawajood Teesre raaste main ghana andhera hone se bhi hat ta nahi aur RAB G ka farmaan maankr us raaste chl deta hai. Jaise hi thoda aage jaata hai to dekhta hai ki ghane andhere ke baad sundar vaatavaran, sunheri roshni, unche pahad aur khoobsurat mahol, yaani sab paa leta ha

Is baat se hamein yeh samjhna chahiye ki joh RAB G hamein farmaate hai ya joh raah voh hamare liye chunte hai ya joh voh hamse karvana chahte hai, usi main hi hamari bhalayi hai mtlb vohi raasta hamare liye best hai. Bhale hi shuruat main sab gadbad lage, pr aage jaakr sahi wakt pr UNHONE jo aapke liye sundar socha hai voh aapko mil kr hi rahega.

MORAL: RAB G pr vishwas rakhte ho toh unke decisions aur aapki life ki happenings pr doubt mat rakho, voh apne bachchon ke saath kabhi galat nahi hone dete , bs thodi patience ki baat hai KYUNKI...........

RAB HI SAB HAI 


ENGLISH TRANSLATION

GOD'S WAY

Once there were three different persons and three different paths. They ask from GOD which path to choose. First path shows beautiful garden , greenary filled atmosphere that is symbol of happiness. Second path has huge big wide mountains depicting height of success. Third path has all darkness, no signs of light. GOD tells each of them to go through the Third path. By seeing the beautiful surroundings in First path, one of them choose to go on the same thinking that he might get all the happiness. As he covers some distance, flood comes and he dies. One from the two left, choose the Second path, thinking to reach heights of success by seeing huge mountains, and does not obey GOD'S saying just like the first one. As soon as he starts climbing the mountain, land slides occur and he also dies. The last one left, does not think of darkness in the GOD'S decided way, and follow his command. As he starts walking, he find just after few steps ,all those beautiful environment , huge big mountains, bright sunlight and everything one could get in life.

The motive behind this story is to understand that GOD knows what is best for us and we should never doubt on what is going on in our lives or whether we are on the right path, because all these are HIS decisions. May be in the starting, we find some difficulties or everything going against us , but going forward we will surely find the best time of our lives with HIS blessings.

MORAL: If you have Trust in GOD, then never have any doubt on his decision. HE does best for all of his kids as HE loves them all. We just have to keep patience in us BECAUSE.......

GOD IS EVERYTHING

Friday 6 October 2017

MAIN TERI PATANG

Dilon Ki Kahaani Labzon Ki Zubaani 

1


Aksar dhyaan diya hoga ki jisko patang udani aati hai voh apni udhi hui patang ki dor kisi aur ke hath main  dene se hichkichata hai, kyunki use dar rehta hai ki kahi uski patang kat na jaye.

Ab kuch is lihaaz se socho ki aap patang ho toh aapki dor yaani aapka jeevan kiske haath main hona chahiye. RAB G. Voh farmaate hai ki tum apne jeevan ki dor mere haath main thama do aur fir zara bhi fikr mat karo. Kehne ka taatparya yeh hai ki jab aap patang bankr apna jeevan UNKE havale krdete ho toh aap khud ko kabhi bhi kisi bhi halat main akela nhi paaoge. Jab tum khud ko unke havale krdoge toh tumhe katne ka dar rahega hi nahi aur fir tum jitna marzi chahe utna uncha udh sakte ho
.
RAB G main vishwas rakhte ho toh kabhi yeh mat socho ki tumhare saath ya tumhare jeevan main kya chal raha hai , yeh UNKA kaam hai. Bs SABAR rakho sahi samay ka intezaar karo , VOH kabhi bhi tumhare VISHWAS ko tootne nahi denge.

MORAL: RAB G main VISHWAS rakho VOH sahi samay pr khud tumhari zindagi main khushiyon ka surya uday karenge KYUNKI........

RAB HI SAB HAI

English translation  

I'M YOUR KITE

Normally if you see a person flying a kite, never pass on the same to anyone else or do not wish to do so due to lack of trust and the fear of his kite might get cut by others.

Similarly think about you being a kite, then whom will you give the responsibility of holding the attaching thread. GOD. HE says just leave everything on me, just let me do what I have decided for you . Give your thread attaching to kite that is your life to ME and you as MY kite fly as high as you want and stop taking tensions of about what is going in your life , when my life will be settled or what will happen next.

MORAL: Have TRUST in him and keep PATIENCE for the right time to come . HE will definitely make the sun rise of happiness in your life BECAUSE......

GOD IS EVERYTHING

RAB G par ASHRIT

Dilon Ki Kahaani Labzon Ki Zubaani   7 Ek parivaar mai 4 married bhai hote hai. Family ki condition achchi hoti hai mtlb kisi ch...