Saturday 14 October 2017

RAB KA RASTA

Dilon Ki Kahaani Labzon Ki Zubaani 

2


Ek baar teen alag insaan aur teen alag raaste hote hai. Teeno RAB G se arz krte hai ki hamein raah dikhao. Pehle raaste main hariyaali ,sundar bagh aur khushnuma mahol hota hai. Doosre raaste main unche lambe chaude pahad, aur Teesre main ghor ghana andhera. RAB G teeno ko farmaate hai ki tumhe Teesre raaste se jaana hai. Ek insaan Pehle raaste ki hariyali aur sundarta dekh kr smjhta hai ki is raaste main toh dhero khushiyan hongi toh main isi main jaata hun. RAB G ka kehna na maankr aur Pehla raasta chunkr jaise hi thoda aage jaata hai toh baadh aakr use apne saath baha le jaati hai. Ek insaan Doosre raaste main unche pahad dekh kr manta hai ki yeh raasta chun kr main uchaaiyan haasil kr skta hun , aur yeh bhi RAB G ka kehna na maankr chl padhta hai. Jaise hi pahad chdne lgta hai toh pahad deh jaata hai. Teesra insaan, bawajood Teesre raaste main ghana andhera hone se bhi hat ta nahi aur RAB G ka farmaan maankr us raaste chl deta hai. Jaise hi thoda aage jaata hai to dekhta hai ki ghane andhere ke baad sundar vaatavaran, sunheri roshni, unche pahad aur khoobsurat mahol, yaani sab paa leta ha

Is baat se hamein yeh samjhna chahiye ki joh RAB G hamein farmaate hai ya joh raah voh hamare liye chunte hai ya joh voh hamse karvana chahte hai, usi main hi hamari bhalayi hai mtlb vohi raasta hamare liye best hai. Bhale hi shuruat main sab gadbad lage, pr aage jaakr sahi wakt pr UNHONE jo aapke liye sundar socha hai voh aapko mil kr hi rahega.

MORAL: RAB G pr vishwas rakhte ho toh unke decisions aur aapki life ki happenings pr doubt mat rakho, voh apne bachchon ke saath kabhi galat nahi hone dete , bs thodi patience ki baat hai KYUNKI...........

RAB HI SAB HAI 


ENGLISH TRANSLATION

GOD'S WAY

Once there were three different persons and three different paths. They ask from GOD which path to choose. First path shows beautiful garden , greenary filled atmosphere that is symbol of happiness. Second path has huge big wide mountains depicting height of success. Third path has all darkness, no signs of light. GOD tells each of them to go through the Third path. By seeing the beautiful surroundings in First path, one of them choose to go on the same thinking that he might get all the happiness. As he covers some distance, flood comes and he dies. One from the two left, choose the Second path, thinking to reach heights of success by seeing huge mountains, and does not obey GOD'S saying just like the first one. As soon as he starts climbing the mountain, land slides occur and he also dies. The last one left, does not think of darkness in the GOD'S decided way, and follow his command. As he starts walking, he find just after few steps ,all those beautiful environment , huge big mountains, bright sunlight and everything one could get in life.

The motive behind this story is to understand that GOD knows what is best for us and we should never doubt on what is going on in our lives or whether we are on the right path, because all these are HIS decisions. May be in the starting, we find some difficulties or everything going against us , but going forward we will surely find the best time of our lives with HIS blessings.

MORAL: If you have Trust in GOD, then never have any doubt on his decision. HE does best for all of his kids as HE loves them all. We just have to keep patience in us BECAUSE.......

GOD IS EVERYTHING

No comments:

Post a Comment

RAB G par ASHRIT

Dilon Ki Kahaani Labzon Ki Zubaani   7 Ek parivaar mai 4 married bhai hote hai. Family ki condition achchi hoti hai mtlb kisi ch...