Dilon Ki Kahaani Labzon Ki Zubaani
10
Aaj ki kahani ek insaan ke upr hai jisne boht mehnat aur lagan ke saath LAWYER banne ki padhayi kri. Din raat poori shiddat ke saath bs man main thaan li ki LAWYER banna hi hai. Time aata hai uska exam dene ka, jiske result main pata lagta hai ki kuch numbers se voh reh gya. Boht niraash hojata hai. Fir himmat juta kar , fir usi lagan mehnat ke saath apni galtiyon se seekhte hue exam dene jaata hai. Result aata hai toh fir maloom padhta hai ki is baar bhi baat nahi ban paayi. Toot jaata hai bilkul, kare toh kare kya. Boht negative hojata hai man hi man. Apne upr belief confidence , RAB G par vishwas sab kam hote dekhta hai.
Aise hi kisi din dekhta hai ki JUDGE banne ke liye exam nikla hai jiski studies requirement lagbhag same hoti hai and moreover use extra knowledge bhi hoti kyunki he had that will to excel in this field. Man main sochta hai ki LAWYER toh ban ni paaya JUDGE kahan se ban paaunga, pr fir bhi bina man ke exam dedeta hai . Aur result main sab clear. He gets qualified to serve as JUDGE. Ab man main sochta hai ki main khush ho ya kya? Kahan main LAWYER banne ke liye itni mehnat krra tha aur kaha JUDGE ki post ke liye qualify hogya.
RAB G farmaate hai ki MUJHE achchi tarah maloom hai kise kab kya aur kitna dena hai, bs agar MUJHMEIN vishwas rakhte ho toh khud main sabar rakho aur sahi samay ka intezaar kro. VOH likhi hui takdeer bhi badal skte hai. Ab kahan ek insaan LAYWER banne ke liye dua maangta raha aur kaha RAB G ne use direct JUDGE bana diya. Niraash hone se kisi cheez ka hal nahi nikalta pr kya kare ham joh present main chalta hai usi ke maddenazar khush ya dukhi hojate hai. Lekin yeh bhool jaate hai ki future toh UNHE hi maloom hai.
Ek badha hi pyaara sher yaad aaya,
Jitna diya SARKAR ne mujhko, utni toh meri aukat hi nahi,
Yeh toh karam hai UNKA , varna mujhmein toh aisi koi baat hi nahi.
Pareshaani main khud ko mentally ya emotionally takleef dena is not the solution. Bs yeh jaan lo ki joh raah UNHONE sochi hai aapke liye vahi best hai and usi par chalkr aap apni manzil tk pahunch skte ho. Toh bs isiliye arz aur dua UNSE yahi kro ki joh AAPKO manzoor hamesha vahi ho kyunki...........
RAB HI SAB HAI
Nice story and motivational...
ReplyDeleteπ Really appreciate you liked.
Delete