Wednesday 24 January 2018

RAB G's Blessings, Karam anusar

Dilon Ki Kahaani Labzon Ki Zubaani 

14





Ek baar ek insaan ne RAB G se shikayat kari ki AAPKE decisions sahi nahi hote kyunki AAP sabke saath sahi insaaf nahi krte. AAPKE bachche takleef main hote hai , unhe AAPKE karam ki zaroorat hoti hai aur AAP unki pareshaaniyon ka hal boht der se krte ho ki mayoos hokr sab haar maan lete hai. 

Is par RAB G us insaan ko kehte hai ki ab joh hoga use tu chup chap dekhega aur kuch bolega nahi.
Saamne dikhayi deta hai ki ek cow ka pair keechad main fas jaata hai toh ek chor (thief) aakr uski maddad krta hai aur keechad se uska pair nikal deta hai . Fir thodi der baad ek cow ka pair keechad main fas jaata hai aur is baar uski maddad krne ek saadhu aata hai.
CHOR aur SAADHU dono hi thodi door chlte hai toh CHOR ko koode ke dher main ek sone(gold) ki potli milti hai jisse voh khush. Aur vahi SADHU ko chlte hue pair main ek keel chubh jaata hai.

Ab yeh sab dekh voh insaan vyaakul ho uthta hai ki aisa kyu hua ki CHOR jisne poora jeevan bure karam hi kiye , choriyan kr logon ko pareshaan kiya , use sone ki potli ka inaam kyu ; Aur doosri or SAADHU jisne aajeevan RAB G ka naam japa achche karam kiye seva kri , use keel chubha kr saza di jabki dono ne ek jaisa hi karam kiya.

Itni behchaini ke saath usne RAB G pr fir shikayat krte hue poocha ki kyu aisi naainsaafi kri, kyu CHOR aur SAADHU ko unke karmo ka sahi fal nahi mila?

Ispr RAB G farmate hai ki yahi tumhari cheezon ko smjhna ka galat nazariya tumhare man main basi patience aur vishwas ko hilata hai. Farmate hai ki us CHOR ki kismat main raja banna likha tha. Usne jeevan bhar bure kaam kiye isiliye cow ki maddad kr achcha karam krne pr use sirf sone ki potli mili. Vahi SAADHU ke kismat main faasi likhi thi. Uske achche krmo ki vajah se aur cow ki maddad kr ek aur achcha karam krne se , use sirf ek choti si keel chubho kr faasi se bacha liya.

RAB G ki nazaron se koi nahi bach skta VOH sab jaante hai kyunki VOH RAB hai . Kabhi na kabhi kaise na kaise krke aapko aapke karmo ka fal zaroor milega. Ab yeh aap pr depend krta hai ki aap apna account kin krmo se bharte ho. VOH Dono jahan ke MAALIK hai , VOH likhi hui takdeer bhi badal skte hai. Bs aapke haath main hai ki aap RAB G pr vishwas krte ho ya nahi ; aur kya aapmein voh sabar hai ki UNKI decided raah pr aap bina kisi tension aur shak se chl skte ho ya nahi.

Agr  aapne RAB G pr sab kuch saump diya hai toh bhool jao aapke saath kya hoga . Aap sirf karam achche kro aur RAB G ke decisions pr vishwas rakho kyunki.....

RAB HI SAB HAI


 

Sunday 14 January 2018

PYAAR; Mazaak hai kya?

Dilon Ki Kahaani Labzon Ki Zubaani 

13




Kise kehte hai PYAAR? Kaise maloom padhta hai ki hamein hamara PYAAR mil gya? PYAAR ki asli paribhasha hai kya? Aaj tk iska jawab na kisi ko smjh aaya aur na hi ise smjhaya jaa skta hai. Kyunki PYAAR ek ehsaas hai jise sirf mehsoos kiya jaa skta hai. Isme koi science ya logic nahi bhara ki paper pr iski definition utaar kr sbko sikhaayi jaaye. Yeh sab muh boli baatein sbko maloom hai lekin fir bhi aaj bhi PYAAR main dokha khaye logon ki ginti kam nahi hui.Ek anjaan insaan se interaction hui. Thode samay sath uthne baithne se dosti hui. Dheere dheere dosti aur gehri hone ki jis vajah se ek doosre ki taraf feelings aane lagi. Ab batane main hichkichahat hui ki kayi dosti bhi khatam na hojaaye . Lekin fir bhi dono ko vibes aati rahi ki yeh rista dosti se aage hai. Fir ek ne himmat kri aur apne dil ki baat saamne rakhi , aur saamne vale ne use kabool kr is rishte ko PYAAR ka naam diya. Yahi hota hai na ? Areh aage ki kahani bhi toh bachi hai. Thoda samay beet ta hai is rishte ko , PYAAR bhari baatein hoti hai , har moment boht sundr lgta hai , aadat ban jaate hai ek doosre ki. Ab fir samay beet ta hai toh insecurities naamak shbd ki entrance hoti hai arthat JALAN. Ladke ki best female friend se aur ladki ka best male friend se ldki aur ladke ko respectively jalan hone lgti ya kuch bhi keh lo ki y he/she is spending more of time with them. Mind main ajeeb se questions umadne lgte hai ki does he genuinly love me , ki does she really have feelings for me . AM I BEING CHEATED? Nahi nahi jyada soch ri hun. I love her and i TRUST ki she also loves me. 

Fir joh in sab vehemo se ya ek doosre pr shak se paar paa lete hai yaa kahu ki relation main aaye sabhi challenges ko strongly paar krlete hai , voh future main apna relation behad khoobsurt position pr paate hai. And touchwood for all those beautiful love full relation. Lekin joh in sb jhamelo main khud ki soch pr control kho baith te hai , unka hojata hai BREAKUP. Lo mil gyi logon ko chugliyan. Toota hua ashik ban kr , so called broken heart lekr sirf ek hi sawal khud se krte rehna ki MERI KYA GALTI THI? Meri feelings toh genuine thi. Fir kuch isse ubhar jate hai with time and kuch yahi soch rakh kr ki "saare ladke ek jaise hote hai" , achche logon ka bhi patta kaat dete hai.


Kitni asaani se likh keh raha hai yeh, isne kabhi experience nahi kiya na , tb pata lagega kaisa lgta hai. Yahi soch re honge aap sab. Sorry i dont mean to hurt you . Lekin PYAAR kya mazaak hai?


PYAAR sirf ek baar hota hai. Jahan PYAAR mtlb vahan 100% TRUST , toh fir shak ki gunjaaish kyu? Aap kyu kisi ko itna hak dedete ho ki last main aap hi khud ko hurt hote hue paao. Aapko maloom hai ki aapko agr kisi se pyaar hua to voh genuine hoga, toh kyu aap itne weak padh jaate ho ki wrong person ke haath apne dil ko hi thama diya. Aaj aise kahi honge jinke saath logon ne cheat kiya , jinke PYAAR ki kadar nahi kri, aur unhi logon ne khud ko mayoos rakh kr , lagataar rokr kitni takleef pahunchayi. KYU? Maana PYAAR ki koi surat nahi lekin is rishte main aane se pehle socho toh sahi ki kya yeh sahi hai mere liye , ki kya mere aur mere pyaar ki kadar kri jaaegi , ki kya yeh MATURE LOVE hai. 


Hamesha insaan ki neeyat galat ya sahi hoti hai joh unhe achche aur bure categories main daalta hai . Toh aap khud ko itna strong banao ki aap yeh sensitive life based decision boht maturity ke saath le paao taaki ant main aapko na bhuktna padhe. Aur ek baat to sure hai ki agr aap kisi ke saath galat krte ho toh aapko bhi return main same ya usse bhi zyada worst face krne ko milega , kyunki VOH hai na , UNKE dar par achche krmo ka sundr fal aur bure krmo ki saza zaroor milti hai , koi bach nahi skta . 


Conclusion main ek hi baat hai kehne ko ki Aap apna aur apne dil ka boht zyada khyaal rakho aapke APNO ke liye and.....


DO FOLLOW YOUR HEART , BUT ALWAYS TAKE ALONG YOUR MIND WITH YOU  

Sunday 7 January 2018

VISHWAS sang SHUKRIYA

Dilon Ki Kahaani Labzon Ki Zubaani 

12



Ek insaan registaan main boht der se bhatak raha. Paani bhi khatam hogya aur pyaas ke maare jaan nikl rahi. Boht der chlne ke baad , almost marne ki halat main ek kuan nazar aaya . Bhaagta hua kuen ke paas gya , par fir niraash hogya. Kua main paani ka level boht kam aur paani nikalne ke liye koi cheez dhoondhta hai toh milti nahi. Udaas hokr baith gya. 

Itni der main ek  hiran (deer) kuen ke paas akr apna muh hi sirf aage krta hai aur paani ka level khud b khud upr aajata hai. Use paani peete dekh , voh insaan rone lgta hai aur upar dekh kr kosta hai ki maine konsa gunah kiya tha joh mujhe pani peene ki ijaazat nahi mili.

Ispr ek awaaz aayi ki registan main jahan paani ka naamo nishan nahi vahan tujhe kuan dediya , pr vahan pahunch kr bhi tu paani nikalne ki cheez khojne main laga hua aur na milne pr niraash hokr haar maan li. EK BAAR HAATH TOH AAGE BADHATA. 

Yeh baat sunkr maafi mangte hue UNKA shukriya kr paani se apni pyaas bhujayi aur UNKE pyaar se apne jeevan ki .

Aisa aksr hota hai ki behad mushkil dor se guzarte hue ham haar maan lete hai aur galat kadam uthate hai khud ko aur apne kareebe logon ko takleef dekr. Lekin yeh bhool jaate hai ki agr ham itne pareshaan hai toh UNHE apne bachon ki haalat dekh kr pareshaani nahi hoti hogi kya? VOH RAB hai VOH sab jaante hai. Hamein bs apni pareshaani ke aage kuch nazar ni aata aur jab ham us bure wakt ke daur ke antim palon main hote hai, jab khushiyon se bhara samay bs ek ya do kadam ki doori pr hota hai  , bs tabhi haar maan jaate hai. 

Boht zaroori hai apne VISHWAS ko hamesha kayam rakhna kyunki UNKE karam se hi bure wakt se chutkara  aur achche palon ki khushiyan naseeb hongi. 

Kuch bhi ho kabhi haar nahi maanni chahiye. Aap jahan tk pahunche ho usme aapki lagan aur UNKA karam boht zyada hai , toh use maddenazar rakhte hai khud main belief hona behad zaroori hai. Agr do pal niraash ke, boht saare khushiyon ke palon main aa bhi jaaye toh usse tootna kyu , blki un palon main aap khud ko aur strong banao. Ek baat to confirm hai ki agr aapke karam achche hai to aapke saath kabhi bura nahi hoga. Haan bhaari samay shyd aajaye lekin, UNKE karam se VOH aapki har pal raksha krte hai aapka dhyaan rakhte hai aur voh bhaari samay kab nikl jaaega pata bhi ni chalega.

Bs har pal UNKA shukriya krte jaao ,khud main believe kro, UNMEIN vishwas rakho kyunki........

RAB HI SAB HAI 

RAB G par ASHRIT

Dilon Ki Kahaani Labzon Ki Zubaani   7 Ek parivaar mai 4 married bhai hote hai. Family ki condition achchi hoti hai mtlb kisi ch...