Sunday 7 January 2018

VISHWAS sang SHUKRIYA

Dilon Ki Kahaani Labzon Ki Zubaani 

12



Ek insaan registaan main boht der se bhatak raha. Paani bhi khatam hogya aur pyaas ke maare jaan nikl rahi. Boht der chlne ke baad , almost marne ki halat main ek kuan nazar aaya . Bhaagta hua kuen ke paas gya , par fir niraash hogya. Kua main paani ka level boht kam aur paani nikalne ke liye koi cheez dhoondhta hai toh milti nahi. Udaas hokr baith gya. 

Itni der main ek  hiran (deer) kuen ke paas akr apna muh hi sirf aage krta hai aur paani ka level khud b khud upr aajata hai. Use paani peete dekh , voh insaan rone lgta hai aur upar dekh kr kosta hai ki maine konsa gunah kiya tha joh mujhe pani peene ki ijaazat nahi mili.

Ispr ek awaaz aayi ki registan main jahan paani ka naamo nishan nahi vahan tujhe kuan dediya , pr vahan pahunch kr bhi tu paani nikalne ki cheez khojne main laga hua aur na milne pr niraash hokr haar maan li. EK BAAR HAATH TOH AAGE BADHATA. 

Yeh baat sunkr maafi mangte hue UNKA shukriya kr paani se apni pyaas bhujayi aur UNKE pyaar se apne jeevan ki .

Aisa aksr hota hai ki behad mushkil dor se guzarte hue ham haar maan lete hai aur galat kadam uthate hai khud ko aur apne kareebe logon ko takleef dekr. Lekin yeh bhool jaate hai ki agr ham itne pareshaan hai toh UNHE apne bachon ki haalat dekh kr pareshaani nahi hoti hogi kya? VOH RAB hai VOH sab jaante hai. Hamein bs apni pareshaani ke aage kuch nazar ni aata aur jab ham us bure wakt ke daur ke antim palon main hote hai, jab khushiyon se bhara samay bs ek ya do kadam ki doori pr hota hai  , bs tabhi haar maan jaate hai. 

Boht zaroori hai apne VISHWAS ko hamesha kayam rakhna kyunki UNKE karam se hi bure wakt se chutkara  aur achche palon ki khushiyan naseeb hongi. 

Kuch bhi ho kabhi haar nahi maanni chahiye. Aap jahan tk pahunche ho usme aapki lagan aur UNKA karam boht zyada hai , toh use maddenazar rakhte hai khud main belief hona behad zaroori hai. Agr do pal niraash ke, boht saare khushiyon ke palon main aa bhi jaaye toh usse tootna kyu , blki un palon main aap khud ko aur strong banao. Ek baat to confirm hai ki agr aapke karam achche hai to aapke saath kabhi bura nahi hoga. Haan bhaari samay shyd aajaye lekin, UNKE karam se VOH aapki har pal raksha krte hai aapka dhyaan rakhte hai aur voh bhaari samay kab nikl jaaega pata bhi ni chalega.

Bs har pal UNKA shukriya krte jaao ,khud main believe kro, UNMEIN vishwas rakho kyunki........

RAB HI SAB HAI 

No comments:

Post a Comment

RAB G par ASHRIT

Dilon Ki Kahaani Labzon Ki Zubaani   7 Ek parivaar mai 4 married bhai hote hai. Family ki condition achchi hoti hai mtlb kisi ch...