Dilon Ki Kahaani Labzon Ki Zubaani
20
Help. Char akshar ka ek shbd , lekin iske mtlb anek aur tareeke toh jitne socho utne kam. Aaj kaafi samay baad likh raha hun toh socha kyun na koi aisa topic liya jaaye jispr shyd log jyada attract nahi honge pr thoda dhyaan diya jaaye toh kitna zaroori hai iska mool smjhna. Toh help ka aakhir roop kya hai mtlb kya hai. Kabhi socha hai ki dictionary mein joh is shbd ka mtlb likha hai ki " Supporting those who are in need", ye apne aap mein kuch na kehr kr bhi boht kuch kehra hai. Kitna easy hai ham sbke liye ki ham jab chahe jis had tk chahe utna doosron ki maddad kr skte hai aur fir bhi gunjaaish khtm nhi hoti HELP krne ki. Mtlb RAB G ne hamein yeh saubhagya diya hai mauka diya hai ki ham jitna chahe utna achcha kr skta hai kisi bhi maddad kr and fir voh kahavat bhi apne aap mein poori hojaati hai ki "Tu achche karam krte jaa , teri takdeer ko sunhera krna meri zimmedari".
Yeh fact ki HELP ka koi particular mool roop nahi ya koi restrictions nhi behad achcha lgta hai. Zara dekhe apni soch mein HELP ke kya roop ho skte hai. Aapko kuch batana ho na toh comments mein zaroor daalna.
- Gareeb ko khaane ke liye kuch dena , thand mein do chaar kapde dena , kisi weekend pr zaroorat mand logon ke liye chai naashte ka prabandh krna kya sirf yahi HELP mein aata hai? Beshak yeh krna boht achchi baat hai pr HELP sirf yahi tk nhi rukti, aage suno.
- Koi apna joh kisi takleef mein hai , udaas hai ya confuse hai ki mn ki baat share kru ya nhi. Use itna apna banana ki voh yeh kabhi soche hi na, apne aap mein ek maddad ka roop hai.
- Agr aap kisi bhi zaroorat mand ke liye earning opportunity create krte ho job offer/refer krke toh socho kitni zyada badhi madad hai.
- Ek teacher bahchon ko padhati hai. Haan it is a profession pr socho bahchon ka future shape krne mein kitni zyada ehmiyat hai is maddad ki.
- Logon ke chehre pr smile laana jahan har koi apne jeevan mein pareshaan hai, kisi ko khush krna kitni positive vibes se bhara ehsaas hai
- Street animals ko jahan tk possible kuch khaane ko dena apne aap mein ek tasalli deta hai jisse u know dil smile krta hai
Ab bs aur examples nahi dera mujhe pta hai it is getting bored. Bs aaj ki post se maksad smjhaane ka yahi tha ki as a human being kabhi bhi apne man main yeh khyaal mat aane dena ki usne kya meri maddad kri thi jab mujhe zaroorat thi? Maloom hai mushkil hai yeh krna jitna asaan kehna pr aap toh na change hokr use bhi sharminda kr skte ho joh apne samay main mukar gaya. Aap apna lage raho. I dont know kitne logon ne yeh sach mein face kiya hai but i had many times , ki aap jitni logon ki maddad kroge obviously log aapko pasand krenge , pr utni hi jldi aapke paas voh maddad pahunchegi jab aap zaroorat mein hoge. Its an account which is to be filled with good work and uski barkat RAB G apne krte jaaenge. Pr haan kisi ke galat kaam mein maddad mat krna bhayi blki use sahi raaste pr laakr smjhakr uska kalyaan kro.
Baaki NAYA SAAL 2019 ka aap sbko boht zyada mubaarik. Khush raho aur RAB G ko khush krte raho.