Thursday, 28 December 2017

KHUSHIYAN ; Neither Consistent Nor Permanent

Dilon Ki Kahaani Labzon Ki Zubaani 

11

Kisi ne ek baar sawal kiya ki khushiyan permanent kyu nahi hoti. Kyu sirf do pal ki khushi ke baad man firse pareshaan hojata hai. Boht hi random baat hai yeh pr dhyaan se smjhi jaye to padhne main maza aaega. Jisne yeh sawal kiya tha, use aksr shikayat rehti thi ki jinke saath kuch pal bita kr achcha lgta tha kuch samay baad hi unka koi ata pata nahi. Jinhone vaade kiye saath rehne ke , unse kab rishta khud b khud anjaan hogya pta hi na chala. Toh kyu kisi ke saath rehkr milti khushiyon main consistency nahi hai. Jis din yeh baat uthi , usi din ek incidence maine experience kiya jisse main is baat ko relate kr paya.

Toh kya hua ki I have a hobby of feeding dogs or animals wherever possible through biscuits, milk, bread or so. Toh generally when i go to park right in front of my house, then i take along packets of biscuits for dogs. Maine dekha ki ek female dog ne puppies ko birth diya hota hai jise i mostly provide food. Toh achcha laga dekh ke jab puppies ko voh feed krti hai. Aise hi usi din main busicuits lejana bhool gya. When i reached park , then i realised ki aaj reh gya. Then what i saw was ki unmain se ek puppy ko kisi doosre animal ne leg pr kaata hua tha , which was appearing a gehra zakham. Aur usi zakham pr ek Uncle bandage laga rahe the . I saw and was very happy.

Ab aap sbko lagega yeh kya likha hai smjh hi ni aaya. How this incidence can relate to topic mentioned in this post.

Jis female dog ko mujhse biscuits (khushiyan) milre the to further feed her babies , use ek din mujhse voh nahi mila lekin usi din ek Uncle ne uske bachche ke gehre zakham pr marham (khushiyan) laga diya.

Yeh baat shyd ajeeb lagegi smjhne main , shyd kya confirm lagegi. Lekin iske peeche chipa joh message hai voh smjh aajaye toh mera mksat poora. Khushiyon ka koi confirm samay nahi hota, na hi jyada der tk tikti hai. Jinke saath kuch pal bita kr lagta hai ki ab hamari khushiyon ka zariya yahi hai, kuch samay baad vahi anjaan ban jaate hai. Khush rehne ke liye hamein hi apna nazariya aisa banana hoga jisse ham har situation main khush reh ske. Yaani hamein khud un khushiyon ko dhoondhna hoga joh shyd ham dukhi hokr gava dete hai ya nazarandaaz krdete hai. Joh present main chal raha hai use RAB G ka decision maankr , khush rehne ki koshish krni chahiye. Haanji bilkul sahi socha aapne ki yeh kehna asaan hai aur krna behad mushkil. Lekin khushiyon pr itna dependent nahi hona chahiye ki gam aane pr hosla toot jaaye . Blki khud ko aur apno ko sambhaalne ke liye un unwanted dukh bhari situation main bhi khush rehne ki vajah dhoondhni chahiye taaki aap apno ke liye real strength ban paao.

Khushiyan agr permanent hai , Khushiyan agr consistent hai toh sirf aur sirf RAB G ke charno main. Asli sukoon sirf UNKE saath se hi mil skta hai. Jisne UNKO paa liya usne sab paa liya. Jisne UNKO apne dil main basa liya usne sab haasil krliya bs UNSE dua kro ki UNKA karam sada bana rahe aur joh UNHE manzoor VOH vahi kre, vahi best hai asli khushi UNHI ke karam se milegi kyunki.........


RAB HI SAB HAI

Saturday, 16 December 2017

GOD'S WAY = BEST WAY

Dilon Ki Kahaani Labzon Ki Zubaani 

10




RAB G ne ham sabke liye boht hi achcha socha hua hai joh hamare liye best hai, par kya karein ham bevakoof aur gunhagaaron main akal aur patience to hai hi ni .

Aaj ki kahani ek insaan ke upr hai jisne boht mehnat aur lagan ke saath LAWYER banne ki padhayi kri. Din raat poori shiddat ke saath bs man main thaan li ki LAWYER banna hi hai. Time aata hai uska  exam dene ka, jiske result main pata lagta hai ki kuch numbers se voh reh gya. Boht niraash hojata hai. Fir himmat juta kar , fir usi lagan mehnat ke saath apni galtiyon se seekhte hue exam dene jaata hai. Result aata hai toh fir maloom padhta hai ki is baar bhi baat nahi ban paayi. Toot jaata hai bilkul, kare toh kare kya. Boht negative hojata hai man hi man. Apne upr belief confidence , RAB G par vishwas sab kam hote dekhta hai. 

Aise hi kisi din dekhta hai ki JUDGE banne ke liye exam nikla hai jiski studies requirement lagbhag same hoti hai and moreover use extra knowledge bhi hoti kyunki he had that will to excel in this field. Man main sochta hai ki LAWYER toh ban ni paaya JUDGE kahan se ban paaunga, pr fir bhi bina man ke exam dedeta hai . Aur result main sab clear. He gets qualified to serve as JUDGE. Ab man main sochta hai ki main khush ho ya kya? Kahan main LAWYER banne ke liye itni mehnat krra tha aur kaha JUDGE ki post ke liye qualify hogya.

RAB G farmaate hai ki MUJHE achchi tarah maloom hai kise kab kya aur kitna dena hai, bs agar MUJHMEIN vishwas rakhte ho toh khud main sabar rakho aur sahi samay ka intezaar kro. VOH likhi hui takdeer bhi badal skte hai. Ab kahan ek insaan LAYWER banne ke liye dua maangta raha  aur kaha RAB G ne use direct JUDGE bana diya. Niraash hone se kisi cheez ka hal nahi nikalta pr kya kare ham joh present main chalta hai usi ke maddenazar khush ya dukhi hojate hai. Lekin yeh bhool jaate hai ki future toh UNHE hi maloom hai.


Ek badha hi pyaara sher yaad aaya,

Jitna diya SARKAR ne mujhko, utni toh meri aukat hi nahi,
Yeh toh karam hai UNKA , varna mujhmein toh aisi koi baat hi nahi.

Pareshaani main khud ko mentally ya emotionally takleef dena is not the solution. Bs yeh jaan lo ki joh raah UNHONE sochi hai aapke liye vahi best hai and usi par chalkr aap apni manzil tk pahunch skte ho. Toh bs isiliye arz aur dua UNSE yahi kro ki joh AAPKO manzoor hamesha vahi ho kyunki...........

RAB HI SAB HAI

Sunday, 10 December 2017

BEST FRIENDS , CONDITION APPLIED ?

Dilon Ki Kahaani Labzon Ki Zubaani 

9






A boy and a girl can never be BEST FRIENDS. Saalon se chalti aari yeh soch mujhe boht khatakti hai. Toh isiliye aaj mera saval yahi hai ki WHY SO? 

First of all i am sorry if any of my thought hurts the reader or someone getting objected , but there are no such wrong intentions as these are the genuine facts which comes into my mind and i wish to share it with you guys.

So lets start.

Aksar suna hoga logon ko bolte hue ki ek ladka aur ek ladki kabhi bhi BEST FRIENDS nahi ho skte. Kisi na kisi side se kabhi na kabhi voh feelings aa hi jaati hai. Pr aisa kyu?? Kya sachi dosti gender ya sex dekh ke hi kari jaati hai , ya yeh kahu ki dil kisi ko apna sachcha yaar maanne lagta hai toh usse pehle dimaag use kehta hai ki ruk jaa voh doosre gender ka hai. Yeh sab padh ke boht ajeeb lag raha hoga ki kya likhta hai yeh , pr ek baar thoda gaur se sochna is baare main. This has been my personal life experience too.

BEST FRIENDS, yeh joh rishta hai na sbse pehle iski ehmiyat aur ismein basa pyaar shyd hi shbdon main samjhaya ja ske kyunki yeh sbse khoobsurat ehsaas hai. Aur aap mein se jin jin ko bhi RAB G ne in sundar rishto se nawaza hai like me, unko dhero saari badhaaiyan kyunki yeh rishte kismat waalon ko hi milte hai. 



Kon hai BEST FRIEND? Shyd voh joh bina kuch kahe ya bina kuch sune samjh jaata hai ki aap pareshaan ho. Shyd voh jiske hone se hi jiski maujoodgi se hi aap complete feel krte ho. Shyd voh jiski ek jhappi saare gam bhula deti hai. Shyd voh jispr APNO se bhi zyada hak jataya jaata hai. Shyd voh joh aapki dua main automatically shaamil hojata hai. Shyd voh jiske bina aap jeene ka soch bhi ni sakte. Agr yeh rishta itna hi khoobsurat hai, toh laazmi hai ki is rishte main do dil ek doosre se judte hai. Jab dilon ki buniyat pr bani is rishte main pyaar ki khoobsurat imaarte tikti hai toh kaise koi keh skta hai ki nahi ek ladka aur ek ladki kabhi bhi BEST FRIENDS nahi ho skte. Kyu aaj bhi agr ek ladka ladki ko saath dekh liya jaaye toh bs dimaag main pehla thought aata hai ki they might be having an affair. Mtlb na jaan na pehchaan bina mtlb ke bana li judgement on anjaan insaans. Jokes apart, why there is such a mentality which dont allow a girl and a boy to share a beautiful and true  relation of FRIENDSHIP. 

This happens very often if i am not wrong, ki jab bhi do dost (ladka ladki) apni FRIENDSHIP ko strong and deep bane dekhte hai , wahi pr aas paas ke log (jinke saath uthna baithta hota hai) ki soch ka indirect pressure unpr padhta hai jis vajah se they dont feel comfortable in depicting their real bond. Meri soch main yeh bilkul galat hai kyunki main maanta hun dosti dil se hoti hai aur dil kabhi bhi kisi ki soorat ya gender ya race ya cast dekh kr kisi se pyaar nai krta ya kisi se dosti ka hath nahi badhata, blki use bas us dil se lagaav hota hai and then this goes long with both hearts becoming strength of each other.

Dosti ek aisa khoobsurat ehsaas hai joh har rishte main hai. Apka BEST FRIEND apka bhai, teacher, mother, father, driver, ladka , ladki , aapke pets , infact teddy bears koi bhi ho skta hai koi bhi kyunki dil sabko saaf aur sachchi nazron se dekhta hai. Yeh bhi true hai ki jis couple ka rishta BEST FRIENDS ban kr shuru hota hai voh boht long term and successful bhi jaata hai. But this is also true ki a girl feels real comfortable and secure with her male best friend. And those relations exists which are behad strong full of love.

Toh aaj aap apne har sachche dost ko special feel karane ke liye unhe bataye ki no matter what happens you will love  them for whole life and even beyond. 

SPECIAL LOVE TO MY BESTFRIENDS 


Monday, 4 December 2017

SABAR : Asli Imtehaan

Dilon Ki Kahaani Labzon Ki Zubaani 

8

Yeh story sunne aur smjhne main kaafi ajeeb lagegi agr practical nazariye se socho ya logic dhoondhne niklo, lekin zaroorat yeh hai ki aap is kahani ke peeche chipe unkahe raaz ya unkahi baat  ko smjhne ki koshish krna. Thodi lambi hai pr ant tk padhna zaroor.

Ek baar ek insaan apni life se khoob pareshaan hokr RAB G ke paas jaata hai . Arz krta hai ki na mere paas apna ghr na karoobaar main barkat na bimaariyon se rahat aur na hi koi sukh , aakhir aisi zindagi jeene ka matlb hi kya. Apne aap main jaise sabar kho, takleefon se jhoojhta hua duniya chodne ki arz krta hai ki ab aur nahi jeeya jaata. RAB G uski parishaani sun use teen parchiyan dete hai, 1-2-3 . Farmaate hai tu fikr mat kr sab theek hoga Vishwas rakh sahi samay zaroor aaega. Abse tu aage kabhi bhi pareshaan hua ya jab bhi aise haalat aaye ki bs ab nahi jeeya jaara toh pehli parchi kholiyo. Samay beet ta hai uska kaarobar chlne lgta hai toh thodi rahat paata hai pr uski beemaariyan use had se zyada takleef deti hai jis vajah se uski zindagi main fir voh samay aata hai jahan uske jeene ki ichcha khatam si ho jaati hai. Fir voh pehle number ki parchi kholta hai jisme likha hota hai HAVE PATIENCE.

Apne man ko kaise bhi krke smbhaalta hai aur aage badhta hai. Samay ke saath uski beemariyan bhi RAB G ke karam se theek hoti hai jiske liye voh UNKA har pal shukriya krta hai. Lekin fir voh samay aata hai jahan uske apne ghr ki ichcha poori hoti na dekh paane ki vajah se khud ko niraash krta hai aur doosri parchi kholta hai . Uspr bhi likha hota hai HAVE PATIENCE.

Fir se apne Vishwas ko jagata hai aur aage badhta hai. Thode samay main apna ghr bhi bana leta hai pr ghr ko ghr banane vali family ka saath na hone ki vajah se khud ko akela paata hai aur dubara naa jeene ki chahat ko man main lekr teesre parchi kholta hai. Uspr likh hota hai AB ITNA SABAR KRLIYA HAI TOH THODA AUR KRLE.TU APNI MANZIL KE BOHT KAREEB HAI.

Yeh padh voh muskura deta hai aur RAB G se maafi maangte hue shukriya krta hai ki UNHONE hamesha apne karam se use sahi salamat rakha aur jeene ki himmat bakshi. Iske baad fir kabhi bhi bhale hi koi bhi situation kyu na ho , usne thaan li ab niraash nahi hoga aur naa hi apne Vishwas ko kabhi tootne dega. 

Ab is kahani main kayi cheezen hai smjhne vali.
Pehli, ki agr aap RAB G main vishwas rakhte ho toh khud main sabar rakho aur us sahi samay ka intezaar kro joh UNHONE aapke liye socha hai and decide kiya hai, and trust me voh samay aane pr aapko  khud b khud pata chal jaaega ki aapka sabar krna vaajib tha.

Doosri. khushiyan kabhi bhi permanent nahi hoti. Isiliye kaha jaata hai ki sukh dukh zindagi ka hissa hai aur hamein dono situation main sthir yaani stable rehna chahiye. Permanent khushi asli sukoon dil ka chain sirf aur sirf RAB G ke charno main hi hai, aur kahi nahi. 


Teesri, ki insaan ki ek khwaaish khatam hone se pehle hi doosri jag jaati hai joh poori na hone pr khud ko mayoos krdeta hai pr yeh nahi sochta ki uski pichle khwaaishein aur zarooratein bhi toh poori hui hai. Sabar rakhna boht zaroori hai.

Aur Aakhri, ham aksar apne haalaton se pareshaan hokr khud main haarkar mayoosi main galat kadam utha lete hai khud ko nuksaan pahunchane ka blki yeh nahi jaante ki almost galat samay kaat diya hai bs ab sukh bhari manzil behad  kareeb hai . Isiliye kabhi give up nahi krna chahiye.

Yeh sach hai ki jispr joh beet ti hai vohi face krta hai reality pareshaani usi ko jhelni padhti hai lekin yeh bhi sach hai ki sabar yaani patience ko kayam rakhna US SUNHERI SHAKTI main yaani RAB G main vishwas ke saath sbse zaroori fanda hai life ka, kyunki krna sab UNHONE hi hai UNHE hi sab maloom hai isiliye hamehsa khud ko khush rakhne ki vajah dhoondho aur sahi samay ka intezaar kro kyunkiiii.........

RAB HI SAB HAI

RAB G par ASHRIT

Dilon Ki Kahaani Labzon Ki Zubaani   7 Ek parivaar mai 4 married bhai hote hai. Family ki condition achchi hoti hai mtlb kisi ch...